Aakhri Khat Ek Bewafa ke Naam

kitni hasrat se tujhe dil me bsaya tha maine....
mahal sapno ka tere liye sajaya tha maine...
fir tu kaise ja sakti hai mujhe itni asani se tadapta chod kr...
Tujhe jara sa bhi tarash na aya ??meri sacchi mahobbat k sapno ko tod kar.....
Tu kisi gair k sang khush rahegi. Aur mujhe ye dard sehna padega...
Janta hun.. Tu nayi zindgi ki shruwat karegi aur mujhe zinda laash ban kar rehna padega....
Maine mohabbat dil se ki thi aur tune dimag se ki yahi baat meri rooh ko satati rahegi...
Mai apne jism me faile khoon k har ek katre ko nichod bhi dalun. Tab bhi teri yaad mujhe ati rahegi...
Umar hum dono ki ek thi magar main nadan aur tum chalak nikli...
Kisi pr Aankh band kar ke bharosa nahi kr sakte.. maine ye baat ab tujhse seekh li....
Ek hi collage me padha karte the hum.. hostal me bhi amne samne raha karte the hum....
Shayad ab tum mujhe pahchanogi bhi nahi.. magar kabhi ek dusre ko jaan kaha karte the hum....
Maine apni pocket money ke alwa na jane doston se kitna karja liya tha...
Khud bhookha soya hun, magar tumne jo kaha maine wo sab pura kiya tha....
Nadani thi meri yaa mere man ka saccha pyar tha wo.....
Mera masoom sa dil tha wo thokren maar maar kar toda hai tumne jo...
Maine tumhari waqt guzari ko sachhi mohabbat samjhne ki bhool kardi....
Na jane kaise jadu kiya tumne jo meri ankhon me dhool hi dhool bhar di....
Maine tumhare siwa kisi aur ka khyal bhi dil me kabhi pala nahi...
Itna nazuk sa rishta hamara gir kar chur chur ho gya magar tune ek baar bhi use sambhala nahi....
Kal collage khatam ho raha hai hum hostle chhod kar apne apne ghar chale jayene...
Tumne jitna bura kiya hai mere sath yaad rakhna hum utni hi shiddat se tumhe yaad aayenge....
Meri har baat yaad karke tum ansu bahaya karogi...
Dekh lena tum apni galtiyon ko jhuthi muskurahton k piche chhupaya karogi....
Main janta hun ye tumhari majburi nahi mahaz ek bahana hai...
Tumne mujhe chhod kar chuna hai kisi aur ko ab tumhe usse dil lagana hai.....
Khair jo hua achha hua kam se kam tumne achhe bure ki pahchan ka ek sabk to sikha diya....
Main abhi tak tumhe sabse upar manta tha magar tumne mujhe sach ka aaina dikha diya....
Ab laut kar kabhi mat aana kyun ki dil ke darwaze main aaj se band kar raha hun....
Tumhari yadon ko bhi jala dunga main dhire dhire dil me hi... tumhare liye dil ko aaj zahar se bhar raha hun....
No comments:
Post a Comment