Monday, 19 February 2018

Chand sanson ki hai mohalat Aakar mil ja mujhe...

                   Chand sanson ki hai mohalat Aakar mil ja mujhe...........


Chand sanson ki hai mohalat Aakar mil ja mujhe...
Akhri dafa hi sahi magar bas ek baar dekhna hai tujhe...

Dekh teri yaad me main kya se kya hota jaa raha hun...
Bhool kar zindagi ki khushion ko teri yaad me bas ansu baha raha hun....

Theek hai main manta hun ki tere jane ki koi wajah rahi hogi... 
Kuchh kami dekhi hogi mujhme... magar mujhse na kahi hogi.... 

Magar tune hi to wada kiya tha ki zindagi ki akhri sans tak tu mera sath nibhati rahegi.. 
chahe kitni hi takfeef q na aye tujh pr magar tu marte dam tak mujhe chahti rahungi...

Jis din se tu mujhe chhod kar gayi hai. Maine apna sukh chain sab luta diya hai....
Dekh tere jaane ke baad bhi mai tujhe nhi bhula , lekin maine khud ko bhula diya hai....

Dost rishtedar sabki sohbat ab parayi si lagne lagi hai...
Tumne jab se muh moda hai mujhse.. khud ki parchhayin bhi mujhe thagne lagi hai...

Yaad hai tujhe pehle kitna hansta muskurata tha main...
Baith kar yaron ki toli me sabko kaise mahobbat k nagme sunata tha main...

Ab magar wo muskurahten aur thahake na jane kahan gum ho gaye hain....
Jis din tu gyi thi Usi din se Hum akelepan ki galiyon me na jane kahan kho gaye hain.....

Janta hun tera laut kar aana ab mumkin nahi hai...
Magar Tu jahan chhod kar gayi thi mujhe.. meri rooh aaj bhi wohin kahin hai...

Bas ek baar hi sahi fursat nikal le aur mujhse milne aaja kabhi...
Usi ek din hi mai jee lunga apni zindagi ki khushiyan sabhi....

Ab kya pata in sanso ka ye kab bharosa tod den....
Jaise tumne hamko chhoda hai naa jane ye bhi mujhe kab chhod den....

Main wada karta hun k mere qatal ka ilzam tere sar naa aayega...
Main jate jate ankhen mund lunga jisse koi bhi tera aks meri ankhon se pahchan na payega...

Ab bas tere hi didar k liye zism me akhiri sans bhi atki padhi hai...
Jis jagah tu gyi thi mujhe chor kr maut aaj bhi wahi mere samne khadi hai...

Bas tere itnzar me zindagi ki akhri ghadian gin raha hun mai...
Bilkul bikhra pada hun aur khud se hi khud ke tukde chun raha hun mai...

Ho sake to laut ana kuchh ghadi kuchh pal ke liye hi sahi...
Fir naa kahna ki jate huye maine tujhse izazat bhi li nhi.....

No comments:

Post a Comment

Dhudhshagar fall Train travelling

Dudhsagar Fallys Dudhsagar Falls (literally Sea of Milk) is a four-tiered waterfall located on the Mandovi River in the Indian...