Valentine's Day Sad Special ( Jinka Pyar Unse Bichada Hai Sirf Unke Liye)
edit by Dil_Dosti_aur_pyar
Mere sath sari zindagi bitane ka uska wada adhura sa rah gya.... uski doli uth gayi, aur mai zinda rehte huve bhi maut ka dard seh gya..... Aaj dil ki khwahishon ne fir se angdaai li hai aise ki uski yaad fir se taza ho gayi hai... Hamne to sab kuchh had me rah kar kiya fir kyun hamari mahobbat kho gyi hai... Saal beet gya pura aaj uska mujhse dur gaye huye.... Kitna waqt beet gya usko samne se i love u kahe huye.... Valentaine din aane wala hai log apne pyar ke sath khushi mana rahe honge.... Hum bhi pichhle saal kitna khush the.. magar is saal chhup chhup kar ansu baha rahe honge.... Kitna kuchh socha tha hamne iss saal ke valantaine par karne ke liye... Magar kismat beraham nikli aur mauka hi na diya zindagi ko khubsurati se sanwarne ke liye... uski majboori me ho gayi shadi aur main gum ke andhere me kho gaya.... Kya kya socha tha hamne pichhle saal din aur is saal ye kya ho gya..... de aaya tha kasam usko ki mere bina bhi wo zinda rahegi….. muskurate huye zindagi bitayegi.. dard hoga tab bhi kisi se na kahegi…. Magar naa jane man hi man me aaj wo kya sochti hogi.. Na jane kisse kahti hogi apne dil ka haal.. yaa akeli baithi apne zakhamon ko nochti hogi..... Mujhse to usne wada le liya tha uski yaad me kabhi naa ansu bahane kaa.... Magar main jaanta hun usne aaj ro ro kar utar diya hoga rang apne sirhane ka..... wo pichhle sabhi valentaine day ki yadon ko aaj samne khol kar baithi hogi.... Main bas yahi soch kar mara jaa raha hun ki aaj uski halat kaisi hogi.... Bhagwan kare ki kisi tarah wo aaj ke din khush ho kar hanse muskuraye.... uski zindagi se gum sare hamesha hamesha ke liye dur ho jaye.... Ab to hamare pas haseen yaden hi hain hum bas unhe hi soch kar jee lenge..... Khud se kuredennge sare zakham aur khud se hi un gumon ko see lenge.....
No comments:
Post a Comment